ek lohar aur goan ki kahani - story
Ek lohar goan me rehta tha aur saara goan lohar se pareshan tha kyu ke lohar shaitani kamao me mulawis tha.
Lohar gaon ke Aurtao ko buri nazaar se dekhta tha aur saare gaon ki aurtein
lohar se bahaut tang hogaye thi aur ghar se baher nahi nikalti thi.
Ek deen goan me ek buzrukh ne dusre buzrukh se kaha bhai yeh lohar aurtao ko buri nazaar se dekhta hai taab dusre buzrukh ne kaha jab iski koi beti hugi tho iski beti ko koi buri nazar se dekhega to taab aehsaas hoga lohar ko aur dono buzrukh ko nahi pata tha ke yeh bate lohar sunn raha hai.
Lohar ne dono buzrukh ki batein suni
to iske dil par ghaira assar pada ussi waqt lohar ko aehsaas huwa ke mai yeh
kis kaam me padgaya tha usne ussi waqt apni dukaan band ki aur nidamaat ke aanso bahate huwe masjid ki taraf dauda allah se apne galtiyo ki maafi mangi aur
sacchi tauba ki dil se tauba ki aur masjid me bakhaida namaze padna suro kardi.
Masjid me mujoot namazi usko gaur se dekhte aur masjid ka imam bhi lohar ko
ajeeb nazarrao se dekhta tha wo janta tha lohar ki harkatein kaisi thi.
Sab hairaan thy ek waqt me lohar shaitani harkatein karta tha jiss darr se gaon ki aurtein ghar se baher nahi nikalti thi wo lohar kaise itna naik bangaya aur koi namaz nagha nahi karta jaise namaz ka paband hogaya tha lohar.
Unhe saak hune laga ke dal me kuch to kala hai uske uuh achanak namazi aur parezgar banne me zarur koi na koi chal ya phir iska koi maqsaad chupha huwa hai jaab se lohar ne sacche dil se tauba ki iska karobaar kam hone laga lekin usne himmat nahi hari.
Usne mazeed mehnath karna suroo kardi gaon ki aurtein jab apne gharo se
baher nikalti thi to aurtein bhi dekhkar hairaan hoti lohar aab phele jaisa
nahi raha usko tho kaam se fursaat bhi nahi wo ab kisi ko bhi nazar utahkar
nahi dekhta lohar ke grahak ana bhi band hogaye usne apni dukaan band kardi aur
mazduri karne laga deen bhar ki mazduri karne ke baad thuda sa muazza hi milta
tha lekin ussey kam mauzza milne ke baad bhi wo allah ka sukaar adah karta aur
ghar chala jata.
Lohar ke ek khareebi dosth ne usse kaha phele to tum bhaut gunagar thy aur tumhara kaam bhi bhaut acha chal raha tha ab jabke tum ne tauba bhi karli hai aur tumhari dukaan band hochuki hai tumhare halat ab phele se battaar hochuke hai kiya tumhe iss baat ka yakhin hai ke tumhari tauba khubool huwe hai ya nahi huwi hai.
Lohar ne jab apne dosth ki baat suni to wo khamosh raha aur kuch bhi nahi
kaha aagle deen lohar subah ki namaz adah karke mazdoori ki talash me nikla
magar usse kahi se bhi mazdoori nahi mily dusre deen phir talash me nikla phir
dusre din bhi yahi haal raha hatta ke kaye deen guzaar gai aur isse kahi se
mazdoori nahi mily naubad yaha tak pounch gai ke usse fakeh karney padgaye.
Kaye denao tak aesa huta ke lohar deen bhar me sirf ek deen ka khana khata
aur kaye raatey wo bagair kahe piye hi sojata.
Ek deen lohar pareshani ke alam me zameen paar baitah tha ke masjid ka imam
lohar ke samne se guzra moulvi ne lohar ko gaur se dekha moulvi ko maloom
hochukha tha ke lohar fakeh me hai.
Moulvi ne kaha lohar se ke allah ne tumhari tauba khubool hey nahi
ki warna tum itna zaleel aur khaar na hure hote lohar ne moulvi ko apne saat zabardasti dukaan legaya moulvi cheekta raha aur lohar ne
ek nahi suni aur moulvi ko apne saat liya aur apni dukaan legaya aur moulvi ko
ek lohe ke taqte paar leta diya aur aagse hatoda garam karne laga moulvi darr
gaya aur kehne laga mujhe jane do lohar ne kaha befikar raho mai tumhe kuch
nahi karonga mai tujhe yaha kuch dekhane laya hu.
Mere paas grahak beydhanga loha lekar ate hai aur koi kehta hai ke talwar banakar do aur koi kehta hai ke khanjaar banakar do mai loha garam karta hu aur apna hatoda bhi aag par garam karta hu mai beydhange lohe ko unki matluba shakal me laney keliye hatode par zarbey lagata hu jo beydhanga loha aag ki tapees aur hatode ki zarbey bardaas karleta hai to usse matluba shakal hasil hojati hai Aur jo loha hatode ki zarbey bardaas nahi kar pata to mai usse kabadi khane me phek deta hu.
Mujhe allah ki raah me yeh takleefey manzoor hai mai iss baat par razi hu ke
azmaish ke hatode kaho aur fakoh ki tapees sehlo shayed iss tarah mai uss
matluba shakal me ajao jiss shakal me allah mujhe dhalna chata hai baas meri yahi
dua hai ke allah mujhe bikar samjhkar kabhad me na phekey yeh kehkar lohar ke
ankhon se aanso jari hugaye aur moulvi bhi rone laga aur moulvi lohar se kehne
laga mai tumhe galat samjhta raha allah
ki raah me aney wali muskilaat darasal hame akhirat ki saakhti se bachane keliye
to huti hai yeh tu allah talah ki azmaish huti hai jisse guzaar kar insaan uss
shakal me ajata hai jiss shakal me allah unko dekhna chata hai baas yeh dua
karni chaheye ke allah hame uss azmaish me na dale jiss me pura utter ney ki
taqat na ho baas allah talah se dua hai ke wo hum paar narmi farmaye aur wo bojh
na dale jiss ko utahne ki taqat nahi ho.
Allah hum sab par merhbaan ho aur hamare liye haar aasaani paida kare ameen
ya rabul allameen
0 Comments
If you have any doubts,please let me know